dil kī āvāz meñ qayām kareñ
aa mire yaar aa kalām kareñ
titliyāñ DhūñDne meñ din kāTeñ
aur jañgal meñ ek shaam kareñ
ā.inoñ ko bulā.eñ ghar apne
aur charāġhoñ kā ehtimām kareñ
us ke hoñToñ ko dhyān meñ rakh kar
surḳh phūloñ kā intizām kareñ
jis ke dam se hai ye suḳhan ābād
ye ġhazal bhī usī ke naam kareñ
dil ki aawaz mein qayam karen
aa mere yar aa kalam karen
titliyan DhunDne mein din kaTen
aur jangal mein ek sham karen
aainon ko bulaen ghar apne
aur charaghon ka ehtimam karen
us ke honTon ko dhyan mein rakh kar
surKH phulon ka intizam karen
jis ke dam se hai ye suKHan aabaad
ye ghazal bhi usi ke nam karen
Leave a comment