Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaleem Aajiz

  • Ghazal


main roun hun rona mujhe bhae hai


maiñ ro.uuñ huuñ ronā mujhe bhaa.e hai
kisī kā bhalā is meñ kyā jaa.e hai

dil aa.e hai phir dil meñ dard aa.e hai
yuuñ hī baat meñ baat baḌh jaa.e hai

koī der se haath phailā.e hai
vo nā-mehrbāñ aa.e hai jaa.e hai

mohabbat meñ dil jaa.e gar jaa.e hai
jo kho.e nahīñ hai vo kyā paa.e hai

junūñ sab ishāre meñ kah jaa.e hai
magar aql ko kab samajh aa.e hai

pukārūñ huuñ lekin na baaz aa.e hai
ye duniyā kahāñ Dūbne jaa.e hai

ḳhamoshī meñ har baat ban jaa.e hai
jo bole hai dīvāna kahlā.e hai

qayāmat jahāñ aa.egī aa.egī
yahāñ sub.h aa.e hai shaam aa.e hai

junūñ ḳhatm dār-o-rasan par nahīñ
ye rasta bahut duur tak jaa.e hai

main roun hun rona mujhe bhae hai
kisi ka bhala is mein kya jae hai

dil aae hai phir dil mein dard aae hai
yun hi baat mein baat baDh jae hai

koi der se hath phailae hai
wo na-mehrban aae hai jae hai

mohabbat mein dil jae gar jae hai
jo khoe nahin hai wo kya pae hai

junun sab ishaare mein kah jae hai
magar aql ko kab samajh aae hai

pukarun hun lekin na baz aae hai
ye duniya kahan Dubne jae hai

KHamoshi mein har baat ban jae hai
jo bole hai diwana kahlae hai

qayamat jahan aaegi aaegi
yahan subh aae hai sham aae hai

junun KHatm dar-o-rasan par nahin
ye rasta bahut dur tak jae hai


Leave a comment

+