Warning: session_start(): open(/tmp/sess_m49fq2a7rb56opr7s02ap49u34, O_RDWR) failed: No space left on device (28) in /razi/eraazi/darbari/chunmun/index.php on line 15
tum chup rahe payam-e-mohabbat yahi to hai

Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Unknown

  • Ghazal


tum chup rahe payam-e-mohabbat yahi to hai


tum chup rahe payām-e-mohabbat yahī to hai
āñkheñ jhukīñ nazar kī qayāmat yahī to hai

mahfil meñ log chauñk paḌe mere naam par
tum muskurā diye mirī qīmat yahī to hai

tum pūchhte ho tum ne shikāyat bhī kī kabhī
sach pūchhiye to mujh ko shikāyat yahī to hai

va.ade the be-shumār magar ai mizāj-e-yār
ham yaad kyā dilā.eñ nazākat yahī to hai

mere talab kī had hai na tere atā kī had
mujh ko tire karam kī nadāmat yahī to hai

tum chup rahe payam-e-mohabbat yahi to hai
aankhen jhukin nazar ki qayamat yahi to hai

mahfil mein log chaunk paDe mere nam par
tum muskura diye meri qimat yahi to hai

tum puchhte ho tum ne shikayat bhi ki kabhi
sach puchhiye to mujh ko shikayat yahi to hai

wade the be-shumar magar ai mizaj-e-yar
hum yaad kya dilaen nazakat yahi to hai

mere talab ki had hai na tere ata ki had
mujh ko tere karam ki nadamat yahi to hai


Leave a comment

+