Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yunus Ghazi

  • Ghazal


kahiye kin lafzon mein ashkon ki kahani likkhun


kahiye kin lafzoñ meñ ashkoñ kī kahānī likkhūñ
mo'tariz aap lahū par haiñ to paanī likkhūñ

un ko apnā sā lage aur ho qissa merā
dil kī ḳhvāhish hai ki ik aisī kahānī likkhūñ

daaġh jitne bhī haiñ gulzār-e-tamannā meñ mere
phuul kī tarah unheñ terī nishānī likkhūñ

laakh afsāne tarāshe haiñ na.e duniyā ne
maiñ to jab jab bhī likhūñ baat purānī likhūñ

mere ḳhāme ko ye taufīq atā kar yārab
ḳhuun ko ḳhuun likhūñ paanī ko paanī likkhūñ

ishq hai ziist kī rag rag meñ lahū kī mānind
jāvedāñ ishq ko kis tarah maiñ faanī likkhūñ

haañ maiñ 'ġhāzī' huuñ mire fan kā taqāzā hai yahī
ḳhuun ro.e jo paḌhe vo bhī kahānī likkhūñ

kahiye kin lafzon mein ashkon ki kahani likkhun
mo'tariz aap lahu par hain to pani likkhun

un ko apna sa lage aur ho qissa mera
dil ki KHwahish hai ki ek aisi kahani likkhun

dagh jitne bhi hain gulzar-e-tamanna mein mere
phul ki tarah unhen teri nishani likkhun

lakh afsane tarashe hain nae duniya ne
main to jab jab bhi likhun baat purani likhun

mere KHame ko ye taufiq ata kar yarab
KHun ko KHun likhun pani ko pani likkhun

ishq hai zist ki rag rag mein lahu ki manind
jawedan ishq ko kis tarah main fani likkhun

han main 'ghazi' hun mere fan ka taqaza hai yahi
KHun roe jo paDhe wo bhi kahani likkhun


Source: Book : Jab Fasl-e-baharn aai thi (Pg. 149) Author : padm Shri Dr. Kaleem Ahmed Aajiz Publication : Sunrise Plastic Works, Patna (1990) Edition : 1990

Leave a comment

+