dil kā har ek daaġh charāġhāñ se kam nahīñ
merī ḳhizāñ bhī fasl-e-bahārāñ se kam nahīñ
is meñ hai ḳhūn-e-dil kā samundar chhupā huā
āñkhoñ meñ ek ashk bhī tūfāñ se kam nahīñ
yādoñ meñ haiñ gulāb se chehre saje hue
shahr-e-ḳhayāl kūcha-e-jānāñ se kam nahīñ
hai ḳhaak par nashist falak par uḌaan hai
merī zamīñ bhī taḳht-e-sulaimāñ se kam nahīñ
jiine kā hausla bhī mayassar na ho jise
us kī sahar bhī shām-e-ġharībāñ se kam nahīñ
nikle kisī kī yaad meñ aañsū jo aañkh se
mere liye vo la.al-e-badaḳhshāñ se kam nahīñ
āñkhoñ ke sāmne haiñ manāzir ajiib se
ye jāgnā bhī ḳhvāb-e-pareshāñ se kam nahīñ
'shāhid' firāq-e-yād meñ ye dil kā haal hai
vīrāniyoñ meñ dasht-o-bayābāñ se kam nahīñ
dil ka har ek dagh charaghan se kam nahin
meri KHizan bhi fasl-e-bahaaran se kam nahin
is mein hai KHun-e-dil ka samundar chhupa hua
aankhon mein ek ashk bhi tufan se kam nahin
yaadon mein hain gulab se chehre saje hue
shahr-e-KHayal kucha-e-jaanan se kam nahin
hai KHak par nashist falak par uDan hai
meri zamin bhi taKHt-e-sulaiman se kam nahin
jine ka hausla bhi mayassar na ho jise
us ki sahar bhi sham-e-ghariban se kam nahin
nikle kisi ki yaad mein aansu jo aankh se
mere liye wo lal-e-badaKHshan se kam nahin
aankhon ke samne hain manazir ajib se
ye jagna bhi KHwab-e-pareshan se kam nahin
'shahid' firaq-e-yaad mein ye dil ka haal hai
viraniyon mein dasht-o-bayaban se kam nahin
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment