Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najmus Saqib

  • Ghazal


samajh liye bhi jo haalat kuchh nahin hoga


samajh liye bhī jo hālāt kuchh nahīñ hogā
bahut añdherī hai ye raat kuchh nahīñ hogā

kise paḌī hai ki bahte gharoñ kī fikr kare
bahut gudāz hai barsāt kuchh nahīñ hogā

ye jism TuuT ke hissoñ meñ baTne vaalā hai
phir is pe apnī rivāyāt kuchh nahīñ hogā

hamāre sāmne ham haiñ laḌā.ī kis se kareñ
jo ho ga.ī bhī tumheñ maat kuchh nahīñ hogā

bas ek baar badalnā hai aur phalnā hai
hazār baar shikāyāt kuchh nahīñ hogā

samā.atoñ meñ bhī dar aa.e haiñ tire manzar
sunā.ī detī haiñ āyāt kuchh nahīñ hogā

samay kaThin hai safar duur kā hai mil jaao
karoge kitne savālāt kuchh nahīñ hogā

phir aaj dūsre sehnoñ meñ phal gire apne
phir aaj marg-e-mufājāt kuchh nahīñ hogā

bas ek vaqfa sahar kā ufuq ke ziine par
tavīl qissa-e-zulmāt kuchh nahīñ hogā

samajh liye bhi jo haalat kuchh nahin hoga
bahut andheri hai ye raat kuchh nahin hoga

kise paDi hai ki bahte gharon ki fikr kare
bahut gudaz hai barsat kuchh nahin hoga

ye jism TuT ke hisson mein baTne wala hai
phir is pe apni riwayat kuchh nahin hoga

hamare samne hum hain laDai kis se karen
jo ho gai bhi tumhein mat kuchh nahin hoga

bas ek bar badalna hai aur phalna hai
hazar bar shikayat kuchh nahin hoga

samaaton mein bhi dar aae hain tere manzar
sunai deti hain aayat kuchh nahin hoga

samay kaThin hai safar dur ka hai mil jao
karoge kitne sawalat kuchh nahin hoga

phir aaj dusre sehnon mein phal gire apne
phir aaj marg-e-mufajat kuchh nahin hoga

bas ek waqfa sahar ka ufuq ke zine par
tawil qissa-e-zulmat kuchh nahin hoga


Source: Book : Zehne Jadid (Pg. 149) Author : Jamshed Jahan Publication : C-2 AB Complex, 179, Zakir Nagar, New Delhi-25 (issue:64 Sep To Jan 2013) Edition : issue:64 Sep To Jan 2013

Leave a comment

+