ham alag sī ek ḳhushbū jānte haiñ
haiñ barahman aur urdu jānte haiñ
kaam chup rah ke kiyā karte haiñ lekin
raat ke sab raaz jugnū jānte haiñ
ḳhāmushī se aa gire dāman pe aksar
dard kī shiddat ko aañsū jānte haiñ
kyoñ mahaktā hai chaman aamad se terī
phuul bhī kyā terī ḳhushbū jānte haiñ
arziyāñ kab roknā hai kab baḌhānā
ye hunar daftar ke baabū jānte haiñ
mushkiloñ meñ muskurā ke jiine vaale
phir yaqīnan koī jaadū jānte haiñ
hum alag si ek KHushbu jaante hain
hain barahman aur urdu jaante hain
kaam chup rah ke kiya karte hain lekin
raat ke sab raaz jugnu jaante hain
KHamushi se aa gire daman pe aksar
dard ki shiddat ko aansu jaante hain
kyon mahakta hai chaman aamad se teri
phul bhi kya teri KHushbu jaante hain
arziyan kab rokna hai kab baDhana
ye hunar daftar ke babu jaante hain
mushkilon mein muskura ke jine wale
phir yaqinan koi jadu jaante hain
Source: Book : Jada-e-manzil (Pg. 28) Author : Atish Bahawalpuri Publication : Nirali Duniya Publications (2001) Edition : 2001
Leave a comment