tere āshiq ko talab gul kī na gulzār kī thī
josh-e-vahshat meñ havas vādī-e-pur-ḳhār kī thī
tere jhoñkoñ ne uḌāyā hai jise vaqt-e-sahar
ai sabā ḳhaak vo mere dil-e-bīmār kī thī
chaman-e-ishq-o-mohabbat meñ ba-sān-e-nargis
aañkh hasrat se khulī tālib-e-dīdār kī thī
shab-e-tārīk se furqat kī maiñ kyuuñ ghabrātā
vo siyāhī bhī tire gesū-e-ḳhamdār kī thī
ḳhvāhish-e-dīd pe be-kār bigaḌ jaate haiñ
ye to farmā.iye kyā baat ye takrār kī thī
vo jo uTThe to qayāmat ne uThāyā sar ko
vo bhī muhtāj magar qāmat-e-dildār kī thī
zo.af ne kar diyā ḳhāmosh 'jamīla' varna
ham se raunaq to kabhī kūcha-e-dildār kī thī
tere aashiq ko talab gul ki na gulzar ki thi
josh-e-wahshat mein hawas wadi-e-pur-KHar ki thi
tere jhonkon ne uDaya hai jise waqt-e-sahar
ai saba KHak wo mere dil-e-bimar ki thi
chaman-e-ishq-o-mohabbat mein ba-san-e-nargis
aankh hasrat se khuli talib-e-didar ki thi
shab-e-tarik se furqat ki main kyun ghabraata
wo siyahi bhi tere gesu-e-KHamdar ki thi
KHwahish-e-did pe be-kar bigaD jate hain
ye to farmaiye kya baat ye takrar ki thi
wo jo uTThe to qayamat ne uThaya sar ko
wo bhi muhtaj magar qamat-e-dildar ki thi
zoaf ne kar diya KHamosh 'jamila' warna
hum se raunaq to kabhi kucha-e-dildar ki thi
Source: Book : Jagjit Chitra Ki Ghazlen (Pg. 86) Author : Jagjit Chitra Publication : Daimond Pocket Books, Daryaganj
Leave a comment