Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahendra Singh Barq

  • Ghazal


wo dil bhi hamara uDae hue hain


vo dil bhī hamārā uḌaa.e hue haiñ
nigāheñ bhī ham se churā.e hue haiñ

jhukā.e hue haiñ ye nazreñ jo ham se
qayāmat ke fitne uThā.e hue haiñ

gilā hai mire shauq-e-jalva ko un se
vo jalve ko parda banā.e hue haiñ

mujhe aaj yuuñ un kī yaad aa hī hai
mire ghar vo jaise ḳhud aa.e hue haiñ

ḳhudā.ī pe hai is qadar naaz jin ko
ḳhudā vo hamāre banā.e hue haiñ

yaqīñ hī nahīñ aa rahā 'barq' mujh ko
mire ghar meñ vo aaj aa.e hue haiñ

wo dil bhi hamara uDae hue hain
nigahen bhi hum se churae hue hain

jhukae hue hain ye nazren jo hum se
qayamat ke fitne uThae hue hain

gila hai mere shauq-e-jalwa ko un se
wo jalwe ko parda banae hue hain

mujhe aaj yun un ki yaad aa hi hai
mere ghar wo jaise KHud aae hue hain

KHudai pe hai is qadar naz jin ko
KHuda wo hamare banae hue hain

yaqin hi nahin aa raha 'barq' mujh ko
mere ghar mein wo aaj aae hue hain


Source: Book : Nuquush-e-daaG (Pg. 113) Author : Sahir Hoshiyarpuri Publication : Haryana Urdu Acadami (1992) Edition : 1992

Leave a comment

+