Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Etibar Sajid

  • Ghazal


tumhein KHayal-e-zat hai shuur-e-zat hi nahin


tumheñ ḳhayāl-e-zāt hai shu.ūr-e-zāt hī nahīñ
ḳhatā muaaf ye tumhāre bas kī baat hī nahīñ

ġhazal fazā bhī DhūñDtī hai apne ḳhaas rañg kī
hamārā mas.ala faqat qalam davāt hī nahīñ

hamārī sā.atoñ ke hissa-dār aur log haiñ
hamāre sāmne faqat hamārī zaat hī nahīñ

varaq varaq pe Diary meñ āñsuoñ kā nam bhī hai
ye sirf bārishoñ se bhīge kāġhzāt hī nahīñ

kahāniyoñ kā ruup de ke ham jinheñ sunā sakeñ
hamārī zindagī meñ aise vāqi.āt hī nahīñ

kisī kā naam aa gayā thā yūñhī darmiyān meñ
ab is kā zikr kyā kareñ jab aisī baat hī nahīñ

tumhein KHayal-e-zat hai shuur-e-zat hi nahin
KHata muaf ye tumhaare bas ki baat hi nahin

ghazal faza bhi DhunDti hai apne KHas rang ki
hamara masala faqat qalam dawat hi nahin

hamari saaton ke hissa-dar aur log hain
hamare samne faqat hamari zat hi nahin

waraq waraq pe Diary mein aansuon ka nam bhi hai
ye sirf barishon se bhige kaghzat hi nahin

kahaniyon ka rup de ke hum jinhen suna saken
hamari zindagi mein aise waqiat hi nahin

kisi ka nam aa gaya tha yunhi darmiyan mein
ab is ka zikr kya karen jab aisi baat hi nahin

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Unknown

Leave a comment

+