Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaid Siddiqi

  • Ghazal


kabhi kabhi ye suna-pan khal jata hai


kabhī kabhī ye sūnā-pan khal jaatā hai
bas ik lamha aatā hai Tal jaatā hai

tujh se mujh ko bair sahī par kabhī kabhī
duniyā terā jaadū bhī chal jaatā hai

jaan liyā hai lekin mānñā baaqī hai
tū saaya hai aur saaya Dhal jaatā hai

ik din maiñ ashkoñ meñ yuuñ ghul jā.ūñgā
jaise kāġhaz bārish meñ gal jaatā hai

kis ke qabze meñ hai ḳhazāna ujāloñ kā
kaun zamīñ par tārīkī mal jaatā hai

is ko terī yaad kahūñ yā apnī yaad
shaam se pahle ek diyā jal jaatā hai

kabhi kabhi ye suna-pan khal jata hai
bas ek lamha aata hai Tal jata hai

tujh se mujh ko bair sahi par kabhi kabhi
duniya tera jadu bhi chal jata hai

jaan liya hai lekin manna baqi hai
tu saya hai aur saya Dhal jata hai

ek din main ashkon mein yun ghul jaunga
jaise kaghaz barish mein gal jata hai

kis ke qabze mein hai KHazana ujalon ka
kaun zamin par tariki mal jata hai

is ko teri yaad kahun ya apni yaad
sham se pahle ek diya jal jata hai

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Obaid Siddiqi RECITATIONS Obaid Siddiqi00:00/00:00 kabhi kabhi ye suna-pan khal jata hai Obaid Siddiqi

Source: Shafaq-e-Sukhan

Leave a comment

+