adam meñ kyā ajab ra.anā.iyāñ haiñ
magar sab dahr kī parchhā.iyāñ haiñ
bhalī lagtī nahīñ takrār itnī
ba-zāhir be-zarar sachchā.iyāñ haiñ
vo ḳhud sho.ale se ab dāman bachā.e
bahut rusvā mirī tanhā.iyāñ haiñ
maiñ apne vaar khā kar aur biphrūñ
ġhazab kī mārka-ārā.īyāñ haiñ
hai aalam ek jaisā har ḳhushī kā
alam kī an-ginat pahnā.iyāñ haiñ
junūñ ke sar hai jo ilzām 'shāhīn'
havas kī hāshiya-ārā.iyāñ haiñ
adam mein kya ajab ranaiyan hain
magar sab dahr ki parchhaiyan hain
bhali lagti nahin takrar itni
ba-zahir be-zarar sachchaiyan hain
wo KHud shoale se ab daman bachae
bahut ruswa meri tanhaiyan hain
main apne war kha kar aur biphrun
ghazab ki marka-araiyan hain
hai aalam ek jaisa har KHushi ka
alam ki an-ginat pahnaiyan hain
junun ke sar hai jo ilzam 'shahin'
hawas ki hashiya-araiyan hain
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment