Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Jalandhari

  • Ghazal


jawani ke tarane ga raha hun


javānī ke tarāne gā rahā huuñ
dabī chiñgāriyāñ sulgā rahā huuñ

mirī bazm-e-vafā se jaane vaalo
Thahar jaao ki maiñ bhī aa rahā huuñ

butoñ ko qaul detā huuñ vafā kā
qasam apne ḳhudā kī khā rahā huuñ

vafā kā lāzmī thā ye natīja
sazā apne kiye kī pā rahā huuñ

ḳhudā-lagtī kaho but-ḳhāne vaalo
tumhāre saath meñ kaisā rahā huuñ

zahe vo gosha-e-rāhat ki jis meñ
hujūm-e-ranj le kar jā rahā huuñ

charāġh-e-ḳhāna-e-darvesh huuñ maiñ
idhar jaltā udhar bujhtā rahā huuñ

na.e ka.abe kī buniyādoñ se pūchho
purāne but-kade kyuuñ Dhā rahā huuñ

nahīñ kāñTe bhī kyā ujḌe chaman meñ
koī roke mujhe maiñ jā rahā huuñ

huī jaatī hai kyuuñ betāb manzil
musalsal chal rahā huuñ aa rahā huuñ

'hafīz' apne parā.e ban rahe haiñ
ki maiñ dil ko zabāñ pe lā rahā huuñ

jawani ke tarane ga raha hun
dabi chingariyan sulga raha hun

meri bazm-e-wafa se jaane walo
Thahar jao ki main bhi aa raha hun

buton ko qaul deta hun wafa ka
qasam apne KHuda ki kha raha hun

wafa ka lazmi tha ye natija
saza apne kiye ki pa raha hun

KHuda-lagti kaho but-KHane walo
tumhaare sath mein kaisa raha hun

zahe wo gosha-e-rahat ki jis mein
hujum-e-ranj le kar ja raha hun

charagh-e-KHana-e-darwesh hun main
idhar jalta udhar bujhta raha hun

nae kabe ki buniyaadon se puchho
purane but-kade kyun Dha raha hun

nahin kanTe bhi kya ujDe chaman mein
koi roke mujhe main ja raha hun

hui jati hai kyun betab manzil
musalsal chal raha hun aa raha hun

'hafiz' apne parae ban rahe hain
ki main dil ko zaban pe la raha hun

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Hafeez Jalandhari

Leave a comment

+