ghar hai patthar kā ḳhudā ḳhair kare
ab mire sar kā ḳhudā ḳhair kare
pyaas ne toḌ dī hai saarī hadeñ
ab samundar kā ḳhudā ḳhair kare
roz dīvāroñ ke bāham jhagḌe
aise meñ ghar kā ḳhudā ḳhair kare
har zabāñ teġh har ik haath chhurī
aaj manzar kā ḳhudā ḳhair kare
shīsh-mahloñ kī numā.ish hai 'azīz'
sañg-e-marmar kā ḳhudā ḳhair kare
ghar hai patthar ka KHuda KHair kare
ab mere sar ka KHuda KHair kare
pyas ne toD di hai sari haden
ab samundar ka KHuda KHair kare
roz diwaron ke baham jhagDe
aise mein ghar ka KHuda KHair kare
har zaban tegh har ek hath chhuri
aaj manzar ka KHuda KHair kare
shish-mahlon ki numaish hai 'aziz'
sang-e-marmar ka KHuda KHair kare
Leave a comment