Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Badnam Nazar

  • Ghazal


hayat DhunDh raha hun qaza ki rahon mein


hayāt DhūñDh rahā huuñ qazā kī rāhoñ meñ
panāh māñgne aayā huuñ be-panāhoñ meñ

badan mummy thā nazar barf saañs kafūrī
tamām raat guzārī hai sard bāñhoñ meñ

ab un meñ sho.ale jahannam ke raqs karte haiñ
base the kitne hī firdaus jin nigāhoñ meñ

bujhī jo raat to apnī galī kī yaad aa.ī
ulajh gayā thā maiñ rañgīn shāh-rāhoñ meñ

na jaane kyā huā apnā bhī ab nahīñ hai vo
jo ek umr thā duniyā ke ḳhair-ḳhvāhoñ meñ

mirī talāsh ko jis ilm se qarār aa.e
na ḳhānqāhoñ meñ paa.ī na dars-gāhoñ meñ

hayat DhunDh raha hun qaza ki rahon mein
panah mangne aaya hun be-panahon mein

badan mummy tha nazar barf sans kafuri
tamam raat guzari hai sard banhon mein

ab un mein shoale jahannam ke raqs karte hain
base the kitne hi firdaus jin nigahon mein

bujhi jo raat to apni gali ki yaad aai
ulajh gaya tha main rangin shah-rahon mein

na jaane kya hua apna bhi ab nahin hai wo
jo ek umr tha duniya ke KHair-KHwahon mein

meri talash ko jis ilm se qarar aae
na KHanqahon mein pai na dars-gahon mein

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Badnam Nazar RECITATIONS Badnam Nazar00:00/00:00 hayat DhunDh raha hun qaza ki rahon mein Badnam Nazar

Leave a comment

+