Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ejaz Warsi

  • Ghazal


yaad unki dil mein aai wo aasudgi liye


yaad un kī dil meñ aa.ī vo āsūdgī liye
zulmat meñ aa.e jaise koī raushnī liye

ai sa.ī-e-zabt logoñ ko kyā duuñ subūt-e-ġham
Dar se hañsī ke maiñ ne to aañsū bhī pī liye

ziddain-e-kaifiyāt ko ham ne sulā diyā
jiite rahe ḳhushī se ġham-e-āshiqī liye

ai sañg-e-āstāñ mire sajdoñ kī laaj rakh
aayā huuñ e'tirāf-e-shikast-e-ḳhudī liye

'ejāz' koī chāra-gar-e-ġham na mil sakā
phirtā rahā huuñ dahr meñ dil kī lagī liye

yaad un ki dil mein aai wo aasudgi liye
zulmat mein aae jaise koi raushni liye

ai sai-e-zabt logon ko kya dun subut-e-gham
Dar se hansi ke main ne to aansu bhi pi liye

ziddain-e-kaifiyat ko hum ne sula diya
jite rahe KHushi se gham-e-ashiqi liye

ai sang-e-astan mere sajdon ki laj rakh
aaya hun e'tiraf-e-shikast-e-KHudi liye

'ejaz' koi chaara-gar-e-gham na mil saka
phirta raha hun dahr mein dil ki lagi liye


Leave a comment

+