Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tariq Butt

  • Ghazal


kuchh dur tak to isko sada le gai mujhe


kuchh duur tak to is kī sadā le ga.ī mujhe
phir mere man kī mauj uḌā le ga.ī mujhe

pahra lagā hī rah gayā ulfat meñ hijr kā
āñchal meñ yād-e-yār chhupā le ga.ī mujhe

manzil hī thī nazar meñ na raste kā hosh thā
us dar talak ye kis kī duā le ga.ī mujhe

kis meñ thā hausla ki guzāre magar hayāt
bātoñ meñ apne saath lagā le ga.ī mujhe

dil meñ khulā thā pyaar kisī phuul kī tarah
mahkā jo maiñ to ek havā le ga.ī mujhe

kuchh dur tak to is ki sada le gai mujhe
phir mere man ki mauj uDa le gai mujhe

pahra laga hi rah gaya ulfat mein hijr ka
aanchal mein yaad-e-yar chhupa le gai mujhe

manzil hi thi nazar mein na raste ka hosh tha
us dar talak ye kis ki dua le gai mujhe

kis mein tha hausla ki guzare magar hayat
baaton mein apne sath laga le gai mujhe

dil mein khula tha pyar kisi phul ki tarah
mahka jo main to ek hawa le gai mujhe


Source: Book : Veeran sarai ka diya (Pg. 19) Author : Obaidullah Aleem Publication : welcome book port (2012) Edition : 2012

Leave a comment

+