aadmī nuur hai
jalva-e-tūr hai
rab hai muḳhtār-e-kul
banda majbūr hai
nashsha-e-hirs meñ
har koī chuur hai
sālihoñ ke liye
vāda-e-hūr hai
kyā hai sehuniyat
ek nāsūr hai
muġhliya saltanat
azm-e-taimūr hai
'hāfiz' insān se
zindagī duur hai
aadmi nur hai
jalwa-e-tur hai
rab hai muKHtar-e-kul
banda majbur hai
nashsha-e-hirs mein
har koi chur hai
salihon ke liye
wada-e-hur hai
kya hai sehuniyat
ek nasur hai
mughliya saltanat
azm-e-taimur hai
'hafiz' insan se
zindagi dur hai
Leave a comment