tham ga.ī vaqt kī raftār tire kūche meñ
aise sābit huā sayyār tire kūche meñ
manzar-e-bām sar-e-dīd nahīñ khultā hai
kuchh hai nā-dīda kā asrār tire kūche meñ
har talabgār ko hai hāsil-e-guftār-e-sukūt
na hai inkār na iqrār tire kūche meñ
ā.īna shaam kā raushan ruḳh-e-mahtāb se kar
aks chamke to ho dīdār tire kūche meñ
vaslat-e-kār baham ho ki haiñ jam.a din raat
pesha-e-hijr ke be car tire kūche meñ
nafā ke khel meñ samjhā gayā thā taaq jise
vo ḳhasāre meñ hai hoshyār tire kūche meñ
āḳhir-e-umr ne kī raunaq-e-bāzār tamām
na dukāñ hai na ḳharīdār tire kūche meñ
ek muddat se hai tartīb meñ be-tartībī
na durustī ke haiñ āsār tire kūche meñ
tham gai waqt ki raftar tere kuche mein
aise sabit hua sayyar tere kuche mein
manzar-e-baam sar-e-did nahin khulta hai
kuchh hai na-dida ka asrar tere kuche mein
har talabgar ko hai hasil-e-guftar-e-sukut
na hai inkar na iqrar tere kuche mein
aaina sham ka raushan ruKH-e-mahtab se kar
aks chamke to ho didar tere kuche mein
waslat-e-kar baham ho ki hain jama din raat
pesha-e-hijr ke be car tere kuche mein
nafa ke khel mein samjha gaya tha taq jise
wo KHasare mein hai hoshyar tere kuche mein
aaKHir-e-umr ne ki raunaq-e-bazar tamam
na dukan hai na KHaridar tere kuche mein
ek muddat se hai tartib mein be-tartibi
na durusti ke hain aasar tere kuche mein
Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)
Leave a comment