Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Varun Gagneja Wahid

  • Ghazal


qalam se nikle ya mere KHayal se nikle


qalam se nikle yā mere ḳhayāl se nikle
koī javāb to ab is savāl se nikle

bahut kaThin thā bulandī pe itnā rah paanā
ḳhudā kā shukr ki ham is kamāl se nikle

mire hunar pe bahut qarz hai tirā hamdam
tamām sher tumhāre ḳhayāl se nikle

maiñ aur is se ziyāda bhī kyā girūñ 'vāhid'
koī uruuj to ab is zavāl se nikle

qalam se nikle ya mere KHayal se nikle
koi jawab to ab is sawal se nikle

bahut kaThin tha bulandi pe itna rah pana
KHuda ka shukr ki hum is kamal se nikle

mere hunar pe bahut qarz hai tera hamdam
tamam sher tumhaare KHayal se nikle

main aur is se ziyaada bhi kya girun 'wahid'
koi uruj to ab is zawal se nikle


Source: Deewan-e-Waleeullah Muhib

Leave a comment

+