Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chandni Pandey

  • Ghazal


wo hua hi nahin jo socha tha


vo huā hī nahīñ jo sochā thā
merā ho kar bhī kab vo merā thā

vo tasavvur ke jaal meñ uljhā
dhuñdh sā ik udaas chehra thā

har ghaḌī us ke ghar kā darvāza
merī ḳhātir khulā hī rahtā thā

chhīn lī us ne merī bīnā.ī
maiñ ne ik ḳhvāb hī to dekhā thā

us ko bhī lag ga.ī ḳhizāñ kī nazar
shāḳh par āḳhirī jo patta thā

ratjage kī thakī thakī āñkheñ
sochtī huuñ vo kitnā tanhā thā

ek bargad kā peḌ thā us par
ek aaseb thā jo laTkā thā

wo hua hi nahin jo socha tha
mera ho kar bhi kab wo mera tha

wo tasawwur ke jal mein uljha
dhundh sa ek udas chehra tha

har ghaDi us ke ghar ka darwaza
meri KHatir khula hi rahta tha

chhin li us ne meri binai
main ne ek KHwab hi to dekha tha

us ko bhi lag gai KHizan ki nazar
shaKH par aaKHiri jo patta tha

ratjage ki thaki thaki aankhen
sochti hun wo kitna tanha tha

ek bargad ka peD tha us par
ek aaseb tha jo laTka tha


Source: Book : Kashkol (Pg. 48) Author : Tahir Faraz Publication : Isteara Publications (2004) Edition : 2004

Leave a comment

+