Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahshar Badayuni

  • Ghazal


aise ghurbat mein baiTha hun jaise baDa bar-e-sar rakh diya


aise ġhurbat meñ baiThā huuñ jaise baḌā bār-e-sar rakh diyā
ek sehn ek dar ek dīvār kā naam ghar rakh diyā

is hunar par jo tum is qadar nukta-chīñ ho to maiñ kyā kahūñ
mere mālik ne kyuuñ mujh meñ sachchā.iyoñ kā hunar rakh diyā

maiñ ne shāḳheñ tarāshīñ bulandī-e-nashv-o-numā ke liye
tum ko tesha milā tum ne to kaaT kar hī shajar rakh diyā

tez-tar bād-e-ḳhud-sar chalī to yahāñ kaun sī lū ghaTī
maiñ ne aur ik lahū se jalā kar diyā baam par rakh diyā

merā hissa thā kyā dukh shanāsā.ī ke zaḳhm rusvā.ī ke
vaqt ke rū-ba-rū maiñ ne saarā hisāb-e-safar rakh diyā

kitne nādār dil tum ne Thukrā diye ye na sochā kabhī
is mohabbat ne to pā-e-aflās par tāj-e-zar rakh diyā

maiñ ne to apnā ḳhud hī likhā faisla log aise bhī the
munsifī ke liye pā-e-nā-munsifī par bhī sar rakh diyā

aise ghurbat mein baiTha hun jaise baDa bar-e-sar rakh diya
ek sehn ek dar ek diwar ka nam ghar rakh diya

is hunar par jo tum is qadar nukta-chin ho to main kya kahun
mere malik ne kyun mujh mein sachchaiyon ka hunar rakh diya

main ne shaKHen tarashin bulandi-e-nashw-o-numa ke liye
tum ko tesha mila tum ne to kaT kar hi shajar rakh diya

tez-tar baad-e-KHud-sar chali to yahan kaun si lu ghaTi
main ne aur ek lahu se jala kar diya baam par rakh diya

mera hissa tha kya dukh shanasai ke zaKHm ruswai ke
waqt ke ru-ba-ru main ne sara hisab-e-safar rakh diya

kitne nadar dil tum ne Thukra diye ye na socha kabhi
is mohabbat ne to pa-e-aflas par taj-e-zar rakh diya

main ne to apna KHud hi likha faisla log aise bhi the
munsifi ke liye pa-e-na-munsifi par bhi sar rakh diya


Leave a comment

+