Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadeem Gullani

  • Ghazal


tumhein hamari mohabbaton ke hasin jazbe bula rahe hain


tumheñ hamārī mohabbatoñ ke hasīn jazbe bulā rahe haiñ
jo ham ne likkhe the tum pe hamdam vo saare naġhme bulā rahe haiñ

vahāñ tumhāre bhī bachpanoñ kī hasīn yādeñ haiñ dafn yaaro
ḳhudā gavāh hai vatan meñ tum ko tumhāre qasbe bulā rahe haiñ

jo haq ġharīboñ kā khā rahe ho to yaad rakhnā ai hukmarāno
kahīñ pe tum ko bhī zulmatoñ ke sulagte raqbe bulā rahe haiñ

hamāre lahje kī larzishoñ se samajh sako to samajh bhī jaao
tumhāre ġham se lage jo dil pe vo saare tamġhe bulā rahe haiñ

yaqīn jaano tumhāre jaane ke ba.ad koī rachā na maz.hab
tumhārī tasbīh tumhāre sajde tumhāre kalme bulā rahe haiñ

'nadīm' dānishvaroñ kī mahfil kabhī na kuchh bhī atā karegī
chalo ki ''jānī-pura'' jahāñ pe vo yaar kamle bulā rahe haiñ

tumhein hamari mohabbaton ke hasin jazbe bula rahe hain
jo hum ne likkhe the tum pe hamdam wo sare naghme bula rahe hain

wahan tumhaare bhi bachpanon ki hasin yaaden hain dafn yaro
KHuda gawah hai watan mein tum ko tumhaare qasbe bula rahe hain

jo haq gharibon ka kha rahe ho to yaad rakhna ai hukmarano
kahin pe tum ko bhi zulmaton ke sulagte raqbe bula rahe hain

hamare lahje ki larzishon se samajh sako to samajh bhi jao
tumhaare gham se lage jo dil pe wo sare tamghe bula rahe hain

yaqin jaano tumhaare jaane ke baad koi racha na mazhab
tumhaari tasbih tumhaare sajde tumhaare kalme bula rahe hain

'nadim' danishwaron ki mahfil kabhi na kuchh bhi ata karegi
chalo ki jaani-pura jahan pe wo yar kamle bula rahe hain


Source: Deewan-e-Baqa

Leave a comment

+