Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aasi Ghazipuri

  • Ghazal


wo kya hai tera jis mein jalwa nahin hai


vo kyā hai tirā jis meñ jalva nahīñ hai
na dekhe tujhe koī andhā nahīñ hai

kahāñ dāman-e-husn āshiq se aTkā
gul-e-dāġh-e-ulfat meñ kāñTā nahīñ hai

kiyā hai vahāñ us ne paimān-e-fardā
yahāñ hai vo shab jis ko fardā nahīñ hai

vo kahte haiñ maiñ zindagānī huuñ terī
ye sach hai to un kā bharosā nahīñ hai

mirī ziist kyuuñ kar na ho jāvedānī
jo martā hai us par vo martā nahīñ hai

vahī ḳhaak uḌānā vahī gardisheñ haiñ
ye maanā ki āshiq bagūlā nahīñ hai

gulū-gīr hai un bhavoñ kā tasavvur
garebān meñ apne kanThā nahīñ hai

in āñkhoñ ko jab se basārat milī hai
sivā tere kuchh maiñ ne dekhā nahīñ hai

mirī hasrateñ is qadar bhar ga.ī haiñ
ki ab tere kūche meñ rastā nahīñ hai

vo dil kyā jo dilbar kī sūrat na pakḌe
vo majnūñ nahīñ hai jo lailā nahīñ hai

kamāl-e-zuhūr-e-tajallī se jaanā
jo pinhāñ nahīñ hai vo paidā nahīñ hai

wo kya hai tera jis mein jalwa nahin hai
na dekhe tujhe koi andha nahin hai

kahan daman-e-husn aashiq se aTka
gul-e-dagh-e-ulfat mein kanTa nahin hai

kiya hai wahan us ne paiman-e-farda
yahan hai wo shab jis ko farda nahin hai

wo kahte hain main zindagani hun teri
ye sach hai to un ka bharosa nahin hai

meri zist kyun kar na ho jawedani
jo marta hai us par wo marta nahin hai

wahi KHak uDana wahi gardishen hain
ye mana ki aashiq bagula nahin hai

gulu-gir hai un bhawon ka tasawwur
gareban mein apne kanTha nahin hai

in aankhon ko jab se basarat mili hai
siwa tere kuchh main ne dekha nahin hai

meri hasraten is qadar bhar gai hain
ki ab tere kuche mein rasta nahin hai

wo dil kya jo dilbar ki surat na pakDe
wo majnun nahin hai jo laila nahin hai

kamal-e-zuhur-e-tajalli se jaana
jo pinhan nahin hai wo paida nahin hai


Leave a comment

+