Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iffat Zarrin

  • Ghazal


ruh jismon se bahar bhaTakti rahi


ruuh jismoñ se bāhar bhaTaktī rahī
zaḳhmī yādoñ ko āñchal se Dhaktī rahī

mere hāthoñ meñ thiiñ gard kī chādareñ
zindagī thī ke dāman jhaTaktī rahī

chāñdnī meñ hasīñ zahr ghultā rahā
sar ko marmar pe nāgin paTaktī rahī

maiñ ghaTāoñ se ḳhud ko bachātī rahī
teġh bijlī kī sar pe laTaktī rahī

mere hoñToñ ko kab mil sakī bāñsurī
saañs 'zarrīñ' laboñ pe aTaktī rahī

ruh jismon se bahar bhaTakti rahi
zaKHmi yaadon ko aanchal se Dhakti rahi

mere hathon mein thin gard ki chadaren
zindagi thi ke daman jhaTakti rahi

chandni mein hasin zahr ghulta raha
sar ko marmar pe nagin paTakti rahi

main ghaTaon se KHud ko bachati rahi
tegh bijli ki sar pe laTakti rahi

mere honTon ko kab mil saki bansuri
sans 'zarrin' labon pe aTakti rahi


Leave a comment

+