Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Khan Niyazi

  • Ghazal


mujhe lagte hain pyare titliyan jugnu parinde


mujhe lagte haiñ pyāre titliyāñ jugnū parinde
ye zinda isti.āre titliyāñ jugnū parinde

yahīñ miltī haiñ dhartī kī hadeñ bāġh-e-iram se
vo dekho abr-pāre titliyāñ jugnū parinde

bas ik tum hī nahīñ manzar meñ varna kyā nahīñ hai
surāhī chāñd taare titliyāñ jugnū parinde

abhī ye kaun aayā sehn-e-gul meñ dhīre dhīre
aḌe ḳhushbū ke dhāre titliyāñ jugnū parinde

yahāñ ḳhatre meñ hai ḳhud aadmī kī zaat apnī
ji.eñ kis ke sahāre titliyāñ jugnū parinde

kitāb-e-zindagī kī ye muqaddas āyateñ haiñ
hiran chītal chikāre titliyāñ jugnū parinde

'zafar' ye kaun ham se chhīn kar bachpan hamārā
uḌātā hai ġhubāre titliyāñ jugnū parinde

mujhe lagte hain pyare titliyan jugnu parinde
ye zinda istiare titliyan jugnu parinde

yahin milti hain dharti ki haden bagh-e-iram se
wo dekho abr-pare titliyan jugnu parinde

bas ek tum hi nahin manzar mein warna kya nahin hai
surahi chand tare titliyan jugnu parinde

abhi ye kaun aaya sehn-e-gul mein dhire dhire
aDe KHushbu ke dhaare titliyan jugnu parinde

yahan KHatre mein hai KHud aadmi ki zat apni
jien kis ke sahaare titliyan jugnu parinde

kitab-e-zindagi ki ye muqaddas aayaten hain
hiran chital chikare titliyan jugnu parinde

'zafar' ye kaun hum se chhin kar bachpan hamara
uData hai ghubare titliyan jugnu parinde


Source: Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 28.08.2015)

Leave a comment

+