Subscribe to our newsletter and get our newest updates

D. Raj Kanwal

  • Ghazal


insan nahin wo jo gunahgar nahin hain


insān nahīñ vo jo gunahgār nahīñ haiñ
vo kaun sā gulshan hai jahāñ ḳhaar nahīñ haiñ

jo log mohabbat meñ giraftār nahīñ haiñ
vo log haqīqat ke parastār nahīñ haiñ

duniyā meñ mayassar hai abhī jins-e-mohabbat
sad haif ki pahle se ḳharīdār nahīñ haiñ

TuuTe haiñ na TūTeñge kabhī bojh se ġham ke
nāzuk haiñ magar ret kī dīvār nahīñ haiñ

dil shauq se deñ aap magar soch samajh kar
duniyā meñ sabhī log vafādār nahīñ haiñ

jab azm-e-safar kar hī liyā aao chaleñ ham
tūfān ke thamne ke to āsār nahīñ haiñ

chaḌhtā hai 'kañval' kaun salīboñ pe ḳhushī se
sab log masīhā ke to autār nahīñ haiñ

insan nahin wo jo gunahgar nahin hain
wo kaun sa gulshan hai jahan KHar nahin hain

jo log mohabbat mein giraftar nahin hain
wo log haqiqat ke parastar nahin hain

duniya mein mayassar hai abhi jins-e-mohabbat
sad haif ki pahle se KHaridar nahin hain

TuTe hain na TuTenge kabhi bojh se gham ke
nazuk hain magar ret ki diwar nahin hain

dil shauq se den aap magar soch samajh kar
duniya mein sabhi log wafadar nahin hain

jab azm-e-safar kar hi liya aao chalen hum
tufan ke thamne ke to aasar nahin hain

chaDhta hai 'kanwal' kaun salibon pe KHushi se
sab log masiha ke to autar nahin hain


Leave a comment

+