paanī paanī ho gayā josh abr-e-dariyā-bār kā
dekh kar tūfāñ hamāre dīda-hā-e-zār kā
chashm-e-hamdardī marīz-e-ishq in āñkhoñ se na rakh
kaam kyā nikle bhalā bīmār se bīmār kā
dil se hamdam ne rah-e-ulfat meñ ye dhokā diyā
kyā kare ab koī duniyā meñ bharosā yaar kā
dil diyā jis ko usī ne dāġh-e-māyūsī diyā
raas hī aayā na ham ko haa.e karnā pyaar kā
yā miTāyā us kā likhvāyā maiñ ḳhud hī miT gayā
ai muqaddar ab to ye sar aur dar hai yaar kā
ham ne 'kaifī' ḳhuub hī āñkheñ laḌā.īñ us se kal
kar diyā saarā hiran nashsha nigāh-e-yār kā
pani pani ho gaya josh abr-e-dariya-bar ka
dekh kar tufan hamare dida-ha-e-zar ka
chashm-e-hamdardi mariz-e-ishq in aankhon se na rakh
kaam kya nikle bhala bimar se bimar ka
dil se hamdam ne rah-e-ulfat mein ye dhoka diya
kya kare ab koi duniya mein bharosa yar ka
dil diya jis ko usi ne dagh-e-mayusi diya
ras hi aaya na hum ko hae karna pyar ka
ya miTaya us ka likhwaya main KHud hi miT gaya
ai muqaddar ab to ye sar aur dar hai yar ka
hum ne 'kaifi' KHub hi aankhen laDain us se kal
kar diya sara hiran nashsha nigah-e-yar ka
Source: Book : Ghazaliyat-e-ahsaan Danish (Pg. 284) Author : Shabnam Parveen Publication : Asghar Publishers (2006) Edition : 2006
Leave a comment