Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jalal Lakhnavi

  • Ghazal


tasawwur humne jab tera kiya pesh-e-nazar paya


tasavvur ham ne jab terā kiyā pesh-e-nazar paayā
tujhe dekhā jidhar dekhā tujhe paayā jidhar paayā

kahāñ ham ne na is dard-e-nihānī kā asar paayā
yahāñ uTThā vahāñ chamkā idhar aayā udhar paayā

patā us ne diyā terā milā jo ishq meñ ḳhud gum
ḳhabar terī usī se paa.ī jis ko be-ḳhabar paayā

dil-e-betāb ke pahlū se jaate hī gayā sab kuchh
na pā.īñ siine meñ aa.heñ na aahoñ meñ asar paayā

vo chashm-e-muntazir thī jis ko dekhā aa ke vā tum ne
vo naala thā hamārā jis ko sote raat bhar paayā

maiñ huuñ vo nā-tavāñ pinhāñ rahā ḳhud aañkh se apnī
hamesha aap ko gum sūrat-e-tār-e-nazar paayā

habīb apnā agar dekhā to dāġh-e-ishq ko dekhā
tabīb apnā agar paayā to ik dard-e-jigar paayā

kyā gum ham ne dil ko justujū meñ dāġh-e-hasrat kī
kisī ko pā ke kho baiThe kisī ko DhūñDh kar paayā

bahut se ashk-e-rañgīñ ai 'jalāl' is aañkh se Tapke
magar be-rañg hī dekhā na kuchh rañg-e-asar paayā

tasawwur hum ne jab tera kiya pesh-e-nazar paya
tujhe dekha jidhar dekha tujhe paya jidhar paya

kahan hum ne na is dard-e-nihani ka asar paya
yahan uTTha wahan chamka idhar aaya udhar paya

pata us ne diya tera mila jo ishq mein KHud gum
KHabar teri usi se pai jis ko be-KHabar paya

dil-e-betab ke pahlu se jate hi gaya sab kuchh
na pain sine mein aahen na aahon mein asar paya

wo chashm-e-muntazir thi jis ko dekha aa ke wa tum ne
wo nala tha hamara jis ko sote raat bhar paya

main hun wo na-tawan pinhan raha KHud aankh se apni
hamesha aap ko gum surat-e-tar-e-nazar paya

habib apna agar dekha to dagh-e-ishq ko dekha
tabib apna agar paya to ek dard-e-jigar paya

kya gum hum ne dil ko justuju mein dagh-e-hasrat ki
kisi ko pa ke kho baiThe kisi ko DhunDh kar paya

bahut se ashk-e-rangin ai 'jalal' is aankh se Tapke
magar be-rang hi dekha na kuchh rang-e-asar paya


Leave a comment

+