tum apnī fikr ko be-shak uḌaan meñ rakhnā
zamīn-bos imārat bhī dhyān meñ rakhnā
nigāh paḌne na paa.e yatīm bachchoñ kī
zarā chhupā ke khilaune dukān meñ rakhnā
hameñ to ahl-e-siyāsat ne ye batāyā hai
kisī kā tiir kisī kī kamān meñ rakhnā
havā.eñ tez bahut haiñ ye chāhatoñ ke diye
zarā sambhāl ke apne makān meñ rakhnā
jadīd ahd ke maqrūz haiñ mire bachche
mire ḳhudā unheñ apnī amaan meñ rakhnā
tumhārā rañg-e-suḳhan koī bhī rahe 'mahbūb'
ġhazal kā zā.iqa apnī zabān meñ rakhnā
tum apni fikr ko be-shak uDan mein rakhna
zamin-bos imarat bhi dhyan mein rakhna
nigah paDne na pae yatim bachchon ki
zara chhupa ke khilaune dukan mein rakhna
hamein to ahl-e-siyasat ne ye bataya hai
kisi ka tir kisi ki kaman mein rakhna
hawaen tez bahut hain ye chahaton ke diye
zara sambhaal ke apne makan mein rakhna
jadid ahd ke maqruz hain mere bachche
mere KHuda unhen apni aman mein rakhna
tumhaara rang-e-suKHan koi bhi rahe 'mahbub'
ghazal ka zaiqa apni zaban mein rakhna
Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 657) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009
Leave a comment