Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadeem Bhabha

  • Ghazal


aankh uTha kar tujhe dekha na pukara maine


aañkh uThā kar tujhe dekhā na pukārā maiñ ne
hijr kī tarah tirā vasl guzārā maiñ ne

kyā faqat merī adab se hī parakh hogī yahāñ
vo jo ik ishq tire ishq meñ haarā maiñ ne

tū ne jo qarz kī sūrat meñ judā.ī dī thī
nasl-dar-nasl vahī qarz utārā maiñ ne

ek mānūs sī āvāz ne thāmā mujh ko
ḳhud ko ik baar mohabbat se pukārā maiñ ne

kyā karūñ koī nazar aatā nahīñ tere sivā
kyā batā.ūñ ki kiyā kaisā nazārā maiñ ne

aankh uTha kar tujhe dekha na pukara main ne
hijr ki tarah tera wasl guzara main ne

kya faqat meri adab se hi parakh hogi yahan
wo jo ek ishq tere ishq mein haara main ne

tu ne jo qarz ki surat mein judai di thi
nasl-dar-nasl wahi qarz utara main ne

ek manus si aawaz ne thama mujh ko
KHud ko ek bar mohabbat se pukara main ne

kya karun koi nazar aata nahin tere siwa
kya bataun ki kiya kaisa nazara main ne


Pachas Sala Intekhab"

Leave a comment

+