Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hadis Salsal

  • Ghazal


sawal-e-tajurba-e-kar-e-saKHt uThne laga


savāl-e-tajurba-e-kār-e-saḳht uThne lagā
so phir tamavvuj-e-andoh-baḳht uThne lagā

ba-kaj-adaya-e-ḳhūbān-e-nāz-e-ālam se
tayaqqun-e-dil-bargashta-e-baḳht uThne lagā

dukān-o-majlis-e-nā-āshnā-e-jauhar se
ye arjumand ba-asbāb-o-raḳht uThne lagā

ba-qadr-e-ramz jahāñ fahma-e-nigāh-e-dil
nashīn-e-kūcha-o-sahrā-o-taḳht uThne lagā

ba-iltihāb-e-tamannā-e-dīd-e-hāsil-e-ishq
dhuāñ sā az-jigar-e-laḳht-laḳht uThne lagā

ḳhabar to thī mire dair-āshnā ko duniyā se
ki 'hādis'-e-ġham-e-aġhmāz-e-baḳht uThne lagā

sawal-e-tajurba-e-kar-e-saKHt uThne laga
so phir tamawwuj-e-andoh-baKHt uThne laga

ba-kaj-adaya-e-KHuban-e-naz-e-alam se
tayaqqun-e-dil-bargashta-e-baKHt uThne laga

dukan-o-majlis-e-na-ashna-e-jauhar se
ye arjumand ba-asbab-o-raKHt uThne laga

ba-qadr-e-ramz jahan fahma-e-nigah-e-dil
nashin-e-kucha-o-sahra-o-taKHt uThne laga

ba-iltihab-e-tamanna-e-did-e-hasil-e-ishq
dhuan sa az-jigar-e-laKHt-laKHt uThne laga

KHabar to thi mere dair-ashna ko duniya se
ki 'hadis'-e-gham-e-aghmaz-e-baKHt uThne laga


Source: Book : abhi mousim nahin badla (Pg. 40) Author : bakhsh layallpurii Publication : akram aarked /29 tempal road sufan valaa chuk lahor pakistan (1994) Edition : 1994

Leave a comment

+