Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wajid Ali Shah Akhtar

  • Ghazal


sun rakkho use dil ka lagana nahin achchha


sun rakkho use dil kā lagānā nahīñ achchhā
duniyā ye burī hai ye zamāna nahīñ achchhā

sab luuT liyā ek nazar dekh ke mujh ko
ai duzd-e-nigah dil kā churānā nahīñ achchhā

kyuuñ jheñpte ho ġhairoñ meñ haañ phir to kaho vo
gaalī hī to thī baat banānā nahīñ achchhā

uryāñ-badanī par na habāboñ kī paḌe aañkh
dariyā meñ mirī jaan nahānā nahīñ achchhā

afsos kī sūrat na banāo na rulāo
dil pista hai hoñToñ kā chabānā nahīñ achchhā

rote haiñ hañsāte ho bharī bazm meñ sāhab
chup baiThe raho dhyān baTānā nahīñ achchhā

kūche se chale jā.iye 'aḳhtar' kahīñ ab aur
mazmūn bahut ishq kā chhānā nahīñ achchhā

sun rakkho use dil ka lagana nahin achchha
duniya ye buri hai ye zamana nahin achchha

sab luT liya ek nazar dekh ke mujh ko
ai duzd-e-nigah dil ka churana nahin achchha

kyun jhenpte ho ghairon mein han phir to kaho wo
gali hi to thi baat banana nahin achchha

uryan-badani par na hababon ki paDe aankh
dariya mein meri jaan nahana nahin achchha

afsos ki surat na banao na rulao
dil pista hai honTon ka chabana nahin achchha

rote hain hansate ho bhari bazm mein sahab
chup baiThe raho dhyan baTana nahin achchha

kuche se chale jaiye 'aKHtar' kahin ab aur
mazmun bahut ishq ka chhana nahin achchha


Source:

Leave a comment

+