kise ḳhabar hai maiñ dil se ki jaañ se guzrūñgā
jo baar baar saf-e-dushmanāñ se guzrūñgā
yaqīn bhī tujhe aa.egā merī hastī par
yahī nahīñ ki maiñ tere gumāñ se guzrūñgā
har ek shai mirī jānib hī multafit hogī
maiñ tere saath agar shahr-e-jāñ se guzrūñgā
añdherī raat kā mujh ko zarā bhī ḳhauf nahīñ
ka.ī charāġh jaleñge jahāñ se guzrūñgā
zamīn zaad huuñ 'saifī' zamīñ pe rahnā hai
na kahkashāñ na kisī āsmāñ se guzrūñgā
kise KHabar hai main dil se ki jaan se guzrunga
jo bar bar saf-e-dushmanan se guzrunga
yaqin bhi tujhe aaega meri hasti par
yahi nahin ki main tere guman se guzrunga
har ek shai meri jaanib hi multafit hogi
main tere sath agar shahr-e-jaan se guzrunga
andheri raat ka mujh ko zara bhi KHauf nahin
kai charagh jalenge jahan se guzrunga
zamin zad hun 'saifi' zamin pe rahna hai
na kahkashan na kisi aasman se guzrunga
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment