Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aabid Adeeb

  • Ghazal


sharik-e-alam-e-kaif-o-surur main bhi tha


sharīk-e-ālam-e-kaif-o-surūr maiñ bhī thā
ki raat jashn meñ tere huzūr maiñ bhī thā

ajiib vaqt thā duniyā qarīb thī mere
ġhazab ye thā tire dāman se duur maiñ bhī thā

ġhamoñ ke ghere meñ jab raqs kar rahī thī hayāt
tamāsh-bīñ kī tarah be-shu.ūr maiñ bhī thā

na ruknā raah meñ shart-e-safar meñ shāmil thā
thakan se varna bahut chuur chuur maiñ bhī thā

utar rahā thā lahū kis balā kā āñkhoñ meñ
tire ḳhayāl meñ us dam zarūr maiñ bhī thā

guzarte vaqt ne pahre baiThā diye 'ābid'
ḳhatā.eñ un kī na thiiñ be-qusūr maiñ bhī thā

sharik-e-alam-e-kaif-o-surur main bhi tha
ki raat jashn mein tere huzur main bhi tha

ajib waqt tha duniya qarib thi mere
ghazab ye tha tere daman se dur main bhi tha

ghamon ke ghere mein jab raqs kar rahi thi hayat
tamash-bin ki tarah be-shuur main bhi tha

na rukna rah mein shart-e-safar mein shamil tha
thakan se warna bahut chur chur main bhi tha

utar raha tha lahu kis bala ka aankhon mein
tere KHayal mein us dam zarur main bhi tha

guzarte waqt ne pahre baiTha diye 'abid'
KHataen un ki na thin be-qusur main bhi tha


Leave a comment

+