Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yasmeen Sahar

  • Ghazal


suKHan mein Dub kar afkar ke andar se nikli hun


suḳhan meñ Duub kar afkār ke andar se niklī huuñ
baḌī mushkil se maiñ kirdār ke andar se niklī huuñ

ye kaisī taan meñ bhar kar utārā ḳhud ko naġhme meñ
Dhalī sur meñ na maiñ jhankār ke andar se niklī huuñ

mirī marzī bhī shāmil jab huī hai us kī marzī meñ
maiñ zid ko toḌ kar inkār ke andar se niklī huuñ

kahīñ buniyād meñ shāmil huā hogā lahū merā
maiñ miTTī ho ke jis dīvār ke andar se niklī huuñ

kiyā taḳhlīq us ne mujh ko kis me.aar par rakh kar
Dhalī fan meñ na maiñ fankār ke andar se niklī huuñ

mujhe chhāñTā hai jaane kis ne rakh kar kis kasauTī par
maiñ kyā jānūñ maiñ kis me.aar ke andar se niklī huuñ

koī bhī qaus is tasvīr kī khultī nahīñ mujh par
maiñ kin hāthoñ se kis parkār ke andar se niklī huuñ

'sahar' āsāñ na thā apne muqābil aa ke ḳhud laḌnā
yahī hai jiit merī haar ke andar se niklī huuñ

suKHan mein Dub kar afkar ke andar se nikli hun
baDi mushkil se main kirdar ke andar se nikli hun

ye kaisi tan mein bhar kar utara KHud ko naghme mein
Dhali sur mein na main jhankar ke andar se nikli hun

meri marzi bhi shamil jab hui hai us ki marzi mein
main zid ko toD kar inkar ke andar se nikli hun

kahin buniyaad mein shamil hua hoga lahu mera
main miTTi ho ke jis diwar ke andar se nikli hun

kiya taKHliq us ne mujh ko kis mear par rakh kar
Dhali fan mein na main fankar ke andar se nikli hun

mujhe chhanTa hai jaane kis ne rakh kar kis kasauTi par
main kya jaanun main kis mear ke andar se nikli hun

koi bhi qaus is taswir ki khulti nahin mujh par
main kin hathon se kis parkar ke andar se nikli hun

'sahar' aasan na tha apne muqabil aa ke KHud laDna
yahi hai jit meri haar ke andar se nikli hun


Source: Haft Rang(Bijnor Ke Muqami Shora ka Intikhab-e-kalam)

Leave a comment

+