Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Lais Quraishi

  • Ghazal


koi payam-e-musalsal hai shor-e-dariya bhi


koī payām-e-musalsal hai shor-e-dariyā bhī
tahī-suḳhan se nahīñ hai sukūt-e-sahrā bhī

fazā-e-dasht meñ ahl-e-junūñ ke hañgāme
hameñ to raas na aa.ī magar ye duniyā bhī

zamīn-e-tishna-dahan kī sadā to aa.ī thī
magar ye baat ki abr-e-bahār barsā bhī

ye bū-e-gul bhī pareshāñ bahut huī lekin
bahut huā mirī āvārgī kā charchā bhī

kiyā hai fat.h koī lamha-e-vafā jab se
mirī giraft meñ imroz bhī hai fardā bhī

abhī to tishna-labī ke surūr meñ gum haiñ
ham ahl-e-zarf kareñge kabhī taqāza bhī

jahāñ ko dekhne vaalī hazār āñkheñ haiñ
inhīñ meñ hogī kahīñ koī chashm-e-bīnā bhī

jo be-hunar haiñ vo shā.ista-e-gunāh nahīñ
gunāh karne meñ ik shart hai salīqa bhī

ajiib ālam-e-begāñgī meñ aa nikle
garāñ guzartī hai dil par tirī tamannā bhī

jo mil rahā thā ba-zāhir baḌe ḳhulūs ke saath
janāb-e-'lais' ne us aadmī ko samjhā bhī

koi payam-e-musalsal hai shor-e-dariya bhi
tahi-suKHan se nahin hai sukut-e-sahra bhi

faza-e-dasht mein ahl-e-junun ke hangame
hamein to ras na aai magar ye duniya bhi

zamin-e-tishna-dahan ki sada to aai thi
magar ye baat ki abr-e-bahaar barsa bhi

ye bu-e-gul bhi pareshan bahut hui lekin
bahut hua meri aawargi ka charcha bhi

kiya hai fath koi lamha-e-wafa jab se
meri giraft mein imroz bhi hai farda bhi

abhi to tishna-labi ke surur mein gum hain
hum ahl-e-zarf karenge kabhi taqaza bhi

jahan ko dekhne wali hazar aankhen hain
inhin mein hogi kahin koi chashm-e-bina bhi

jo be-hunar hain wo shaista-e-gunah nahin
gunah karne mein ek shart hai saliqa bhi

ajib aalam-e-begangi mein aa nikle
garan guzarti hai dil par teri tamanna bhi

jo mil raha tha ba-zahir baDe KHulus ke sath
janab-e-'lais' ne us aadmi ko samjha bhi


Source: Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 153) Author : Naseer Ahmed Nasir Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 5,6 April To Sep. 1998) Edition : Issue No. 5,6 April To Sep. 1998

Leave a comment

+