junūñ se khelte haiñ āgahī se khelte haiñ
yahāñ to ahl-e-suḳhan aadmī se khelte haiñ
nigār-e-mai-kada sab se ziyāda qābil-e-rahm
vo tishna-kām haiñ jo tishnagī se khelte haiñ
tamām umr ye afsurdagān-e-mahfil-e-gul
kalī ko chheḌte haiñ be-kalī se khelte haiñ
farāz-e-ishq nasheb-e-jahāñ se pahle thā
kisī se khel chuke haiñ kisī se khelte haiñ
nahā rahī hai dhanak zindagī ke sañgam par
purāne rañg na.ī raushnī se khelte haiñ
jo khel jānte haiñ un ke aur haiñ andāz
baḌe sukūn baḌī sādgī se khelte haiñ
'ḳhizāñ' kabhī to kaho ek is tarah kī ġhazal
ki jaise raah meñ bachche ḳhushī se khelte haiñ
junun se khelte hain aagahi se khelte hain
yahan to ahl-e-suKHan aadmi se khelte hain
nigar-e-mai-kada sab se ziyaada qabil-e-rahm
wo tishna-kaam hain jo tishnagi se khelte hain
tamam umr ye afsurdagan-e-mahfil-e-gul
kali ko chheDte hain be-kali se khelte hain
faraaz-e-ishq nasheb-e-jahan se pahle tha
kisi se khel chuke hain kisi se khelte hain
naha rahi hai dhanak zindagi ke sangam par
purane rang nai raushni se khelte hain
jo khel jaante hain un ke aur hain andaz
baDe sukun baDi sadgi se khelte hain
'KHizan' kabhi to kaho ek is tarah ki ghazal
ki jaise rah mein bachche KHushi se khelte hain
Leave a comment