ḳhat lifāfe meñ ġhair kā niklā
us kā qāsid bhī be-vafā niklā
jaan meñ jaan aa ga.ī yaaro
vo kisī aur se ḳhafā niklā
sher nāzim ne jab paḌhā merā
pahlā misra hī dūsrā niklā
phir usī qabr ke barābar se
zinda rahne kā rāsta niklā
KHat lifafe mein ghair ka nikla
us ka qasid bhi be-wafa nikla
jaan mein jaan aa gai yaro
wo kisi aur se KHafa nikla
sher nazim ne jab paDha mera
pahla misra hi dusra nikla
phir usi qabr ke barabar se
zinda rahne ka rasta nikla
Source: Book : Shakh-e-Zaryab (Pg. 85)
Leave a comment