Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fana bulandshahri

  • Ghazal


tum ho sharik-e-gham to mujhe koi gham nahin


tum ho sharīk-e-ġham to mujhe koī ġham nahīñ
duniyā bhī mire vāste jannat se kam nahīñ

chāhā hai tujh ko tujh pe luTā.ī hai zindagī
tere alāva kuchh mirā dīn-o-dharam nahīñ

vo bad-nasīb rāhat-e-hastī na pā sakā
jis pe mire habīb kī chashm-e-karam nahīñ

maiñ banda-e-sanam sahī kāfir sahī magar
paa.e mirā maqām kisī meñ ye dam nahīñ

us rāste meñ sar ko jhukānā harām hai
jis rāste meñ aap kā naqsh-e-qadam nahīñ

ai aane vaale apnī jabīñ ko jhukā kar aa
ye āstān-e-yār hai kū-e-haram nahīñ

ahl-e-junūñ kā is liye mashrab judā rahā
vāqif niyāz-e-ishq se shaiḳh-e-haram nahīñ

munkir rah-e-vafā meñ 'fanā' kis tarah se ho
merā jahāñ meñ koī vajūd-o-adam nahīñ

tum ho sharik-e-gham to mujhe koi gham nahin
duniya bhi mere waste jannat se kam nahin

chaha hai tujh ko tujh pe luTai hai zindagi
tere alawa kuchh mera din-o-dharam nahin

wo bad-nasib rahat-e-hasti na pa saka
jis pe mere habib ki chashm-e-karam nahin

main banda-e-sanam sahi kafir sahi magar
pae mera maqam kisi mein ye dam nahin

us raste mein sar ko jhukana haram hai
jis raste mein aap ka naqsh-e-qadam nahin

ai aane wale apni jabin ko jhuka kar aa
ye aastan-e-yar hai ku-e-haram nahin

ahl-e-junun ka is liye mashrab juda raha
waqif niyaz-e-ishq se shaiKH-e-haram nahin

munkir rah-e-wafa mein 'fana' kis tarah se ho
mera jahan mein koi wajud-o-adam nahin


Pachas Sala Intekhab"

Leave a comment

+