Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Waheed Akhtar

  • Ghazal


sahraon mein dariya bhi safar bhul gaya hai


sahrāoñ meñ dariyā bhī safar bhuul gayā hai
miTTī ne samundar kā lahū chuus liyā hai

duniyā kī malāmat kā bhī ab ḳhauf hai dil ko
ḳhāshāk ne maujoñ ko giraftār kiyā hai

manzil hai na jaada hai na saaya hai na paanī
tanhā.ī kā ehsās faqat rāh-numā hai

sūraj bhī paḌā rotā hai ik gahre kueñ meñ
barsoñ hue ākāsh bhī dhundlāyā huā hai

bichhḌe hue ḳhvāb aa ke pakaḌ lete haiñ dāman
har rāsta parchhā.iyoñ ne rok liyā hai

kirnoñ se tarāshā huā ik nuur kā paikar
sharmāyā huā ḳhvāb kī chaukhaT pe khaḌā hai

phūloñ se ladī Tahniyāñ phailā.e haiñ bāñheñ
ḳhushbū kā badan ḳhaak meñ pāmāl paḌā hai

dīvār-o-dar-e-shahr pe haiñ ḳhuun ke dhabbe
rañgoñ kā hasīñ qāfila sahrā meñ luTā hai

sahraon mein dariya bhi safar bhul gaya hai
miTTi ne samundar ka lahu chus liya hai

duniya ki malamat ka bhi ab KHauf hai dil ko
KHashak ne maujon ko giraftar kiya hai

manzil hai na jada hai na saya hai na pani
tanhai ka ehsas faqat rah-numa hai

suraj bhi paDa rota hai ek gahre kuen mein
barson hue aakash bhi dhundlaya hua hai

bichhDe hue KHwab aa ke pakaD lete hain daman
har rasta parchhaiyon ne rok liya hai

kirnon se tarasha hua ek nur ka paikar
sharmaya hua KHwab ki chaukhaT pe khaDa hai

phulon se ladi Tahniyan phailae hain banhen
KHushbu ka badan KHak mein pamal paDa hai

diwar-o-dar-e-shahr pe hain KHun ke dhabbe
rangon ka hasin qafila sahra mein luTa hai


Source: Book : Shora-e-London (Pg. 70) Author : Jauhar Zahiri Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street,Londan W.C-1 (1985) Edition : 1985

Leave a comment

+