Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aagha Akbarabadi

  • Ghazal


but-e-ghuncha-dahan pe nisar hun main nahin jhuT kuchh isMein KHuda ki qasam


but-e-ġhuncha-dahan pe nisār huuñ maiñ nahīñ jhuuT kuchh is meñ ḳhudā kī qasam
mirā tā.ir-e-dil isī qaid meñ hai mujhe zulf ke dām-e-balā kī qasam

nahīñ bhātā mujhe koī rashk-e-parī koī laakh hasīñ ho balā se mirī
mirā dil tirā āshiq-e-shefta hai mujhe tere hī nāz-o-adā kī qasam

mire dil ko zarā nahīñ tāb-o-ta.ab ki uThā.ūñ tumhārā ye qahr-o-ġhazab
mire qatl meñ der na chāhiye ab tumheñ apne hī jaur-o-jafā kī qasam

na to huur hī ko ye milā hai namak na parī hī ke ruḳh meñ hai aisī chamak
tire sāmne phīke haiñ shams-o-qamar mujhe tire hī ruḳh kī ziyā kī qasam

mujhe itr-e-hinā kī nahīñ hai havā mujhe phūloñ se hotā hai dāġh-e-sivā
kabhī nik.hat-e-zulf suñghā de sabā tujhe nāfa-e-mushk-e-ḳhatā kī qasam

mire ba.ad sahegā na koī bhī ġham na uThegā kisī se ye rañj-o-alam
karo tark tum aaj se zulm-o-sitam tumheñ apnī hī mehr-o-vafā kī qasam

kabhī dard se rotā ho 'āġhā' agar to hañsī se ye kahtā hai vo gul-e-tar
mirā maan kahā are naala na kar tujhe bulbul-e-naġhma-sarā kī qasam

but-e-ghuncha-dahan pe nisar hun main nahin jhuT kuchh is mein KHuda ki qasam
mera tair-e-dil isi qaid mein hai mujhe zulf ke dam-e-bala ki qasam

nahin bhata mujhe koi rashk-e-pari koi lakh hasin ho bala se meri
mera dil tera aashiq-e-shefta hai mujhe tere hi naz-o-ada ki qasam

mere dil ko zara nahin tab-o-tab ki uThaun tumhaara ye qahr-o-ghazab
mere qatl mein der na chahiye ab tumhein apne hi jaur-o-jafa ki qasam

na to hur hi ko ye mila hai namak na pari hi ke ruKH mein hai aisi chamak
tere samne phike hain shams-o-qamar mujhe tere hi ruKH ki ziya ki qasam

mujhe itr-e-hina ki nahin hai hawa mujhe phulon se hota hai dagh-e-siwa
kabhi nikhat-e-zulf sungha de saba tujhe nafa-e-mushk-e-KHata ki qasam

mere baad sahega na koi bhi gham na uThega kisi se ye ranj-o-alam
karo tark tum aaj se zulm-o-sitam tumhein apni hi mehr-o-wafa ki qasam

kabhi dard se rota ho 'agha' agar to hansi se ye kahta hai wo gul-e-tar
mera man kaha are nala na kar tujhe bulbul-e-naghma-sara ki qasam


Source: Book : Kulliyat-e-Habib Jalib (Pg. 30) Author : Habib Jalib Publication : Tahir Sons Publishers (2012) Edition : 2012

Leave a comment

+