Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naeem Sarmad

  • Ghazal


ye pairahan pe pairahan wabaal hai


ye pairahan pe pairahan vabāl hai
so ḳhud ko be-vabāl kar visāl kar

vajūd-e-jism-e-jāñ se istifāda kar
zarā samay nikāl kar visāl kar

lahū ko chulluoñ meñ le ke yuuñ uḌā
badan pe rañg Daal kar visāl kar

amīr-e-vahshiyān-e-ishq huuñ so tū
zarā sī dekh-bhāl kar visāl kar

ye ism-e-kārsāz hai junūn paḌh
ye hosh pā.emāl kar visāl kar

tirī ye zard āñkheñ dekh sharm kar
tū in kā rañg laal kar visāl kar

ḳhudā javāb de na de bigaḌ paḌe
ḳhudā se bhī savāl kar visāl kar

visāl-e-yār gar harām hai to sun
harām ko halāl kar visāl kar

ḳhudā kā hijr asl meñ visāl hai
so is meñ intiqāl kar visāl kar

firāq se gurez kar gurez kar
visāl kar visāl kar visāl kar

ye pairahan pe pairahan wabaal hai
so KHud ko be-wabaal kar visal kar

wajud-e-jism-e-jaan se istifada kar
zara samay nikal kar visal kar

lahu ko chulluon mein le ke yun uDa
badan pe rang Dal kar visal kar

amir-e-wahshiyan-e-ishq hun so tu
zara si dekh-bhaal kar visal kar

ye ism-e-karsaz hai junun paDh
ye hosh paemal kar visal kar

teri ye zard aankhen dekh sharm kar
tu in ka rang lal kar visal kar

KHuda jawab de na de bigaD paDe
KHuda se bhi sawal kar visal kar

visal-e-yar gar haram hai to sun
haram ko halal kar visal kar

KHuda ka hijr asl mein visal hai
so is mein intiqal kar visal kar

firaq se gurez kar gurez kar
visal kar visal kar visal kar


Leave a comment

+