Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ehsan Jafri

  • Ghazal


jazbaat ki shiddat se nikharta hai bayan aur


jazbāt kī shiddat se nikhartā hai bayāñ aur
ġhairoñ se mohabbat meñ sañvartī hai zabāñ aur

ehsās kī palkoñ meñ tirī yaad kā partav
ġhamgīn banā detā hai mahfil kā samāñ aur

guzre hue hālāt se bantī hai kahānī
girte hue tāroñ se munavvar hai makāñ aur

mujh ko na batā ziist ke imkān bahut haiñ
miTTī meñ namī ho to ubharte haiñ nishāñ aur

āñgan hī meñ ḳhushbū ko muqayyad na karo tum
parvāz se mil jā.eñge insāñ ko jahāñ aur

jazbaat ki shiddat se nikharta hai bayan aur
ghairon se mohabbat mein sanwarti hai zaban aur

ehsas ki palkon mein teri yaad ka partaw
ghamgin bana deta hai mahfil ka saman aur

guzre hue haalat se banti hai kahani
girte hue taron se munawwar hai makan aur

mujh ko na bata zist ke imkan bahut hain
miTTi mein nami ho to ubharte hain nishan aur

aangan hi mein KHushbu ko muqayyad na karo tum
parwaz se mil jaenge insan ko jahan aur


Source: Book : Noquush (Pg. B-340 E-356) Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954) Edition : May June 1954

Leave a comment

+