Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahboob Khizan

  • Ghazal


chahi thi dil ne tujhse wafa kam bahut hi kam


chāhī thī dil ne tujh se vafā kam bahut hī kam
shāyad isī liye hai gilā kam bahut hī kam

kyā husn thā ki aañkh lagī saaya ho gayā
vo sādgī kī maar, hayā kam bahut hī kam

the dūsre bhī terī mohabbat ke ās-pās
dil ko magar sukūn milā kam bahut hī kam

jalte sunā charāġh se dāman hazār baar
dāman se kab charāġh jalā kam bahut hī kam

ab ruuh kāñptī hai ajal hai qarīb-tar
ai ham-nasīb nāz-o-adā kam bahut hī kam

yuuñ mat kaho 'ḳhizāñ' ki bahut der ho ga.ī
haiñ āj-kal vo tum se ḳhafā kam bahut hī kam

chahi thi dil ne tujh se wafa kam bahut hi kam
shayad isi liye hai gila kam bahut hi kam

kya husn tha ki aankh lagi saya ho gaya
wo sadgi ki mar, haya kam bahut hi kam

the dusre bhi teri mohabbat ke aas-pas
dil ko magar sukun mila kam bahut hi kam

jalte suna charagh se daman hazar bar
daman se kab charagh jala kam bahut hi kam

ab ruh kanpti hai ajal hai qarib-tar
ai ham-nasib naz-o-ada kam bahut hi kam

yun mat kaho 'KHizan' ki bahut der ho gai
hain aaj-kal wo tum se KHafa kam bahut hi kam

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Mahboob Khizan Ejaz Hussain Hazravi

Source: Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 31.10.2015)

Leave a comment

+