Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tahira Jabeen Tara

  • Ghazal


kaghaz pe tera naqsh utara nahin gaya


kāġhaz pe terā naqsh utārā nahīñ gayā
mujh se koī ḳhayāl sañvārā nahīñ gayā

mil ke lagā hai aaj zamāne Thahar ga.e
tujh se bichhaḌ ke vaqt guzārā nahīñ gayā

tūfān meñ bhī Duub na paa.ī mirī anā
Duubā magar kisī ko pukārā nahīñ gayā

ḳhushiyoñ ke qahqahe haiñ har ik samt gūñjte
lagtā hai koī shahr meñ maarā nahīñ gayā

insān vahshiyoñ kī tarah haiñ ki aaj tak
mafhūm zindagī kā ubhārā nahīñ gayā

ārā.ish-e-jamāl kisī kaam kī nahīñ
rū-e-amal ko jab ki nikhārā nahīñ gayā

kaghaz pe tera naqsh utara nahin gaya
mujh se koi KHayal sanwara nahin gaya

mil ke laga hai aaj zamane Thahar gae
tujh se bichhaD ke waqt guzara nahin gaya

tufan mein bhi Dub na pai meri ana
Duba magar kisi ko pukara nahin gaya

KHushiyon ke qahqahe hain har ek samt gunjte
lagta hai koi shahr mein mara nahin gaya

insan wahshiyon ki tarah hain ki aaj tak
mafhum zindagi ka ubhaara nahin gaya

aaraish-e-jamal kisi kaam ki nahin
ru-e-amal ko jab ki nikhaara nahin gaya


Source: Book : Khamoshi Bol Uthi Hai (Pg. 120) Author : Abdul Ahad Saaz Publication : Qalam Publication (1990) Edition : 1990

Leave a comment

+