Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dr. Azam

  • Ghazal


pur-lutf sukun-baKHsh hawaen bhi bahut thin


pur-lutf sukūñ-baḳhsh havā.eñ bhī bahut thiiñ
gulshan meñ ta.assub kī vabā.eñ bhī bahut thiiñ

ḳhud maiñ ne hī rakkhā na ḳhayāl apnā kabhī bhī
ġhairoñ kī kuchh apnoñ kī jafā.eñ bhī bahut thiiñ

sūrat pe ujāle the agar shams-o-qamar ke
zulfoñ kī siyāhī meñ ghaTā.eñ bhī bahut thiiñ

thī ahd-e-javānī meñ mohabbat hī mohabbat
nā-karda gunāhoñ kī sazā.eñ bhī bahut thiiñ

mab.hūt the mas.hūr the sab dekh ke us ko
shaffāf sarāpā thā adā.eñ bhī bahut thiiñ

har vaqt mire saath the asbāb-e-tabāhī
qismat thī ḳharāb apnī ḳhatā.eñ bhī bahut thiiñ

ik roz qazā le ga.ī bīmār ko 'āzam'
the jab ki masīhā bhī davā.eñ bhī bahut thiiñ

pur-lutf sukun-baKHsh hawaen bhi bahut thin
gulshan mein tassub ki wabaen bhi bahut thin

KHud main ne hi rakkha na KHayal apna kabhi bhi
ghairon ki kuchh apnon ki jafaen bhi bahut thin

surat pe ujale the agar shams-o-qamar ke
zulfon ki siyahi mein ghaTaen bhi bahut thin

thi ahd-e-jawani mein mohabbat hi mohabbat
na-karda gunahon ki sazaen bhi bahut thin

mabhut the mashur the sab dekh ke us ko
shaffaf sarapa tha adaen bhi bahut thin

har waqt mere sath the asbab-e-tabahi
qismat thi KHarab apni KHataen bhi bahut thin

ek roz qaza le gai bimar ko 'azam'
the jab ki masiha bhi dawaen bhi bahut thin


Leave a comment

+