Subscribe to our newsletter and get our newest updates

P P Srivastava Rind

  • Ghazal


nim ke patton ka zaKHmon ko dhuan de dijiye


niim ke pattoñ kā zaḳhmoñ ko dhuāñ de dījiye
phir mirī āñkhoñ ko pahre-dāriyāñ de dījiye

ho sake to ye navāzish ham faqīroñ par kareñ
bujhte rañgoñ kā hameñ ye āsmāñ de dījiye

shab-parastoñ ko bhī taskīn-e-anā mil jā.egī
un kā haq hai un ko shab-bedāriyāñ de dījiye

shāḳh par kāñToñ ko pairāhan badalne ke liye
mausamoñ ko shabnamī be-samtiyāñ de dījiye

be-hisī kā ḳhushk sā sahrā hai āñkhoñ meñ mirī
dhūl-e-manzar se to kuchh tuġhyāniyāñ de dījiye

dhundalke to nauha-ḳhvānī meñ bahut masrūf haiñ
raat zaḳhmī hai use baisākhiyāñ de dījiye

ārizī mausam ko bhī ehsās-e-mahrūmī na ho
ghar ke sannāToñ ko ehsās-e-ziyāñ de dījiye

dhuup meñ thoḌī sī gunjā.ish nikal aa.e to 'rind'
ek muTThī chhāñv kā hī sā.ebāñ de dījiye

nim ke patton ka zaKHmon ko dhuan de dijiye
phir meri aankhon ko pahre-dariyan de dijiye

ho sake to ye nawazish hum faqiron par karen
bujhte rangon ka hamein ye aasman de dijiye

shab-paraston ko bhi taskin-e-ana mil jaegi
un ka haq hai un ko shab-bedariyan de dijiye

shaKH par kanTon ko pairahan badalne ke liye
mausamon ko shabnami be-samtiyan de dijiye

be-hisi ka KHushk sa sahra hai aankhon mein meri
dhul-e-manzar se to kuchh tughyaniyan de dijiye

dhundalke to nauha-KHwani mein bahut masruf hain
raat zaKHmi hai use baisakhiyan de dijiye

aarizi mausam ko bhi ehsas-e-mahrumi na ho
ghar ke sannaTon ko ehsas-e-ziyan de dijiye

dhup mein thoDi si gunjaish nikal aae to 'rind'
ek muTThi chhanw ka hi saeban de dijiye


Source: Book : Handwriting File Mail By Salim Saleem

Leave a comment

+