Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadir Siddiqui

  • Ghazal


phir apne-ap se usko hijab aata hai


phir apne-āp se us ko hijāb aatā hai
thiraktī jhiil pe jab māhtāb aatā hai

dikhā.iye na hameñ aap mausamī aañsū
ki ye hunar to hameñ be-hisāb aatā hai

vo jis tarīq se us ne savāl dāġhā hai
usī tarah kā mujhe bhī javāb aatā hai

to bārishoñ se shikāyat sī hone lagtī hai
gulāb sā jo koī zer-e-āb aatā hai

maiñ apnī aañkh meñ shabnam utaar letā huuñ
vo apnī aañkh meñ jab le ke ḳhvāb aatā hai

abhī to naam bhī apnā nahīñ milā mujh ko
abhī to naam se pahle janāb aatā hai

phir apne-ap se us ko hijab aata hai
thirakti jhil pe jab mahtab aata hai

dikhaiye na hamein aap mausami aansu
ki ye hunar to hamein be-hisab aata hai

wo jis tariq se us ne sawal dagha hai
usi tarah ka mujhe bhi jawab aata hai

to barishon se shikayat si hone lagti hai
gulab sa jo koi zer-e-ab aata hai

main apni aankh mein shabnam utar leta hun
wo apni aankh mein jab le ke KHwab aata hai

abhi to nam bhi apna nahin mila mujh ko
abhi to nam se pahle janab aata hai


Source: Urdu Adab Ka Awwaleen Naqqaad Maulana Baqar Agaah

Leave a comment

+