Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faisal Ajmi

  • Ghazal


in logon mein rahne se hum beghar achchhe the


in logoñ meñ rahne se ham beghar achchhe the
kuchh din pahle tak to sab ke tevar achchhe the

dekh rahā hai jis hairat se pāgal kar degā
ā.īne se Dar lagtā hai patthar achchhe the

nādīda āzār badan ko ġhārat kar degā
zaḳhm jo dil meñ jā utre haiñ bāhar achchhe the

raat sitāroñ vaalī thī aur dhuup bharā thā din
jab tak āñkheñ dekh rahī thiiñ manzar achchhe the

āḳhir kyuuñ ehsān kiyā hai zinda rakhne kā
ham jo mar jaate to banda-parvar achchhe the

āñkheñ bhar aa.ī haiñ 'faisal' Duub ga.e haiñ log
in meñ kuchh zālim the lekin aksar achchhe the

in logon mein rahne se hum beghar achchhe the
kuchh din pahle tak to sab ke tewar achchhe the

dekh raha hai jis hairat se pagal kar dega
aaine se Dar lagta hai patthar achchhe the

nadida aazar badan ko ghaarat kar dega
zaKHm jo dil mein ja utre hain bahar achchhe the

raat sitaron wali thi aur dhup bhara tha din
jab tak aankhen dekh rahi thin manzar achchhe the

aaKHir kyun ehsan kiya hai zinda rakhne ka
hum jo mar jate to banda-parwar achchhe the

aankhen bhar aai hain 'faisal' Dub gae hain log
in mein kuchh zalim the lekin aksar achchhe the


Leave a comment

+